nik.hat-o-rañg na mausam kī havā Thahrī hai
gul kī qismat meñ ba-har-hāl fanā Thahrī hai
zaḳhm-e-dil khil uThe hañste hue phūloñ kī tarah
ek lamhe ko jahāñ bād-e-sabā Thahrī hai
maut ko kahiye ilāj-e-ġham-e-hastī lekin
zindagī kaun se jurmoñ kī sazā Thahrī hai
aur mansūr koī mash.had-e-hastī meñ na thā
lā.eq-e-dār jo ik merī anā Thahrī hai
husn-e-muḳhtār hai har baat ravā hai is ko
fitrat-e-ishq to pāband-e-vafā Thahrī hai
koī naġhma koī jhankār koī hosh-rubā
dil hī bahlā leñ tabī.at jo zarā Thahrī hai