dil kā sukūn aañkh kā taarā kise kaheñ
ye sochnā paḌā hai ki apnā kise kaheñ
ye shor-e-inqalāb ye nāqūs ye azaañ
hañgāma kaun sā hai tamāsha kise kaheñ
rahbāniyat kā jism se fastā.iyat kī ruuh
kis ko rafīq ḳhuun kā pyāsā kise kaheñ
sab milte-julte chehre haiñ dushman bhī dost bhī
qātil kise batā.eñ masīhā kise kaheñ
har zarra-e-haqīr hai ham-dosh mehr-o-māh
is pattharoñ ke Dher meñ hiirā kise kaheñ
itnā shu.ūr de hameñ ḳhallāq ḳhair-o-shar
ḳhār-o-zabūñ hai kaun farishta kise kaheñ
milnā thā jo nasīb se vo mil gayā 'ziyā'
hasrat kise batā.eñ tamannā kise kaheñ