Saqib Lakhnavi

main ro raha hun jo dil ko to bekasi ke liye

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
maiñ ro rahā huuñ jo dil ko to bekasī ke liye
vagar na maut to duniyā meñ hai sabhī ke liye
shab-e-firāq kī rozāna āfateñ tauba
ye imtihān to hotā kabhī kabhī ke liye
bahut sī umr miTā kar jise banāyā thā
makāñ vo jal gayā thoḌī sī raushnī ke liye
vasī.a bazm-e-jahāñ hai to ho mujhe kyā kaam
jagah milī na mirī hasrat-dilī ke liye
ye aur dāman-e-qātil hai chhūT jā.egā
lahū meñ josh to barsoñ se thā isī ke liye
na aañkh band karūñ maiñ to kyā karūñ yārab
vo aa rahe haiñ tamāshā-e-jāñ-kanī ke liye
bulā ke mujh ko nikālā hai apnī mahfil se
vo nekiyāñ nahīñ achchhī haiñ jo ho badī ke liye
qafas meñ aaj tamāshā-e-ġham hai qābil-e-dīd
taḌap rahā huuñ maiñ sayyād kī ḳhushī ke liye
tamām ho ga.e ham ik nigāh-e-qātil se
rageñ gale kī taḌaptī rahīñ chhurī ke liye
faroġh-e-husn baḌhā dil kī be-navā.ī se
faqīr ho gayā shān-e-tavañgarī ke liye
qafas meñ chup na hoñ to kyā karūñ ki ye qaidī
na dostī ke liye hai na dushmanī ke liye
tamām bazm meñ chhāyā huā hai sannāTā
chhuḌā thā qissa-e-dil un kī dil-lagī ke liye
shikāyat-e-chaman-e-dahr kyā karūñ 'sāqib'
havā ḳhilāf hai lekin kisī kisī ke liye
Top Urdushayar.com