Josh Malsiani

aag hai aag teri tegh-e-ada ka pani

Josh Malsiani

Malsiyan, Punjab, India

1884-1976
aag hai aag tirī teġh-e-adā kā paanī
aise paanī ko maiñ hargiz na kahūñgā paanī
na rahe aañkh meñ bhī dil se nikal kar aañsū
jā-ba-jā un ko liye phirtā hai daanā paanī
haal pūchho na mire girya-e-ġham kā mujh se
us ke kahne se bhī hotā hai kalejā paanī
soz-e-ġham hī se mirī aañkh meñ aañsū aa.e
sochtā huuñ ki ise aag kahūñ yā paanī
tark-e-mai-ḳhāna gavārā na karūñgā hargiz
raas hai merī tabī.at ko yahāñ kā paanī
kar diyā sab ko tire tīr-e-nazar ne sairāb
jis ke siine pe lagā us ne na māñgā paanī
aish dam bhar kā bhī dekhā nahīñ jaatā us se
charḳh-e-kam-baḳht kī āñkhoñ meñ na utrā paanī
tere hī jalve se hai bāġh-e-tamannā kī bahār
yahī tanvīr hai ā.īna-dil kā paanī
ḳhalish-e-ġham se kiye jā.ūñ kahāñ tak naale
merī qismat meñ to har roz ye iizā paanī
Duub jaate haiñ umīdoñ ke safīne is meñ
maiñ na mānūñgā ki aañsū hai zarā sā paanī
zabt-e-girya se baḌhī aur musībat ai 'josh'
dil ye kahtā hai ki ab sar se hai ūñchā paanī
Top Urdushayar.com