maut kī zad kā ḳhatar har fard ko har ghar meñ hai
ye baḌā ik aib ai duniyā tirī chausar meñ hai
manzil-e-maqsūd par pahuñche to pahuñche kis tarah
DhūñDne vaalā umīd-o-bīm ke chakkar meñ hai
shaiḳh se kuchh zid nahīñ hai barhaman se kad nahīñ
dair o ka.aba donoñ kā jauhar mire sāġhar meñ hai
fikr-e-imroz o ġham-e-fardā sarāsar be-mahal
tū agar ghar meñ hai to sab kuchh hamāre ghar meñ hai
dam-ba-ḳhud fitne haiñ un kī shoḳhi-e-raftār se
ek sannāTe kā aalam arsa-e-mahshar meñ hai
merī hī rūdād-e-vahshat sun ke fariyādī haiñ sab
chaak mere hī jigar kā dāman-e-mahshar meñ hai
naqsh-e-ulfat miT gayā to dāġh-e-ulfat haiñ bahut
shukr kar ai dil ki tere ghar kī daulat ghar meñ hai
is se kyā matlab ki hai kis kis ke dil meñ shauq-e-qatl
dekhnā ye hai ki dam kitnā tire ḳhanjar meñ hai
silsila āvārgī kā fahm se bāhar hai 'josh'
maiñ bhī chakkar meñ huuñ merī aql bhī chakkar meñ hai