us ke har rañg se kyuuñ sho.ala-zanī hotī hai
un kī tasvīr to kāġhaz kī banī hotī hai
aql o maz.hab kī jab aapas meñ Thanī hotī hai
phir to har rāh-barī rāhzanī hotī hai
yaad aatī hai jab un kī nigah-e-nāz mujhe
ek barchhī mire siine pe tanī hotī hai
kis tarah duur hoñ ālām-e-ġharīb-ul-vatanī
zindagī ḳhud bhī ġharīb-ul-vatanī hotī hai
phal use aa.e na aa.e ye muqaddar kī hai baat
chhāñv to naḳhl-e-tamannā kī ghanī hotī hai
shikve tauqīr-e-mohabbat bhī huā karte haiñ
magar us vaqt jab aapas meñ banī hotī hai
maiñ bhī piitā huuñ mujhe is se kuchh inkār nahīñ
vo magar dāman-e-taqvā meñ chhanī hotī hai
zabt-e-girya se kahīñ chaak na ho jaa.e jigar
buuñd aañsū kī bhī hiire kī kanī hotī hai
ik tumhārī hī nazākat hai jo hai tum pe girāñ
varna har phuul meñ nāzuk-badanī hotī hai
is qadar ġhair hai kyuuñ haal tumhārā ai 'josh'
kabhī dil par to kabhī dam pe banī hotī hai