havādis par na ai nādāñ nazar kar
qazā se jañg be-ḳhauf-o-ḳhatar kar
muāfī bhī sazā se kam nahīñ hai
bas ab is darguzar se darguzar kar
jahāñ Duubī thī kashtī aarzū kī
usī girdāb meñ niklī ubhar kar
kabhī to mā.il-e-tark-e-sitam ho
kabhī mujh par karam kī bhī nazar kar
guzārā to yahāñ mushkil hai ai dil
magar ab jis tarah bhī ho guzar kar
vo mujh ḳhūnīñ-kafan se pūchhte haiñ
kahāñ jaane lage ho ban-sañvar kar
vahī hastī kā chakkar hai yahāñ bhī
bhañvar hī meñ rahe ham paar utar kar
mirī muḳhtāriyoñ ke saath yā-rab
mirī majbūriyoñ par bhī nazar kar
na.e aalam idhar bhī haiñ udhar bhī
yahī dekhā do-ālam se guzar kar
bayān-e-dard-e-dil ai 'josh' kab tak
ḳhudā-rā ab ye qissa muḳhtasar kar