Josh Malsiani

teri yaad mein kab qayamat na TuTi tere gham mein kab hashr barpa na dekha

Josh Malsiani

Malsiyan, Punjab, India

1884-1976
tirī yaad meñ kab qayāmat na TuuTī tire ġham meñ kab hashr barpā na dekhā
ba-juz ik nigāh-e-masīhā-nafas ke mohabbat ke māroñ ne kyā kyā na dekhā
bahut sair kī bāġh-e-jannat kī ham ne magar kuchh mazā zindagī kā na dekhā
kisī dil meñ dard-e-mohabbat na paayā kisī dil meñ dāġh-e-tamannā na dekhā
bahut mard-e-maidāñ bhī duniyā meñ dekhe shujā.at pe nāzāñ bhī duniyā meñ dekhe
magar choT sah jaa.e tīr-e-nazar kī ye dil ye kalejā kisī kā na dekhā
yahī hai nazārā to kyā hai nazārā na shān-e-jamālī na shān-e-jalālī
ye dhundlā sā partav ye mastūr jalva barābar hai ham ko to dekhā na dekhā
junūn-e-mohabbat meñ dīvāngī meñ tirī be-ruḳhī kā bhī maiñ qadr-dāñ huuñ
baḌā tū ne ehsān mujh par kiyā ye tamāshā banā kar tamāshā na dekhā
tire āstāñ kā pata kis se paa.eñ kare rahbarī kaun bhaTke huoñ kī
ye rāh-e-talab hai ki rāh-e-adam hai kisī kā bhī naqsh-e-kaf-e-pā na dekhā
mohabbat kahāñ ye to bechārgī hai sitam bhī saheñ phir karam is ko samjheñ
ye jabr is liye kar liyā hai gavārā ki is ke sivā koī chārā na dekhā
niyāz-e-mohabbat se ye be-niyāzī ḳhulūs-e-mohabbat se itnā taġhāful
mirā dard tum ne mirā haal tum ne na jaanā na samjhā na pūchhā na dekhā
tumheñ 'josh' ham ḳhuub pahchānte haiñ tumhārī balā-noshiyāñ jānte haiñ
kahāñ tum kahāñ pārsā.ī kā jaama kabhī ham ne aisā dikhāvā na dekhā
Top Urdushayar.com