nāla-e-jāñ-gudāz ne maarā
soz-e-ulfat ke saaz ne maarā
ye kahā paḌh ke merā nāma-e-shauq
us sarāpā niyāz ne maarā
muñh se uff bhī to kar nahīñ sakte
ḳhauf-e-ifshā-e-rāz ne maarā
zindagī chain se guzartī thī
chashm-e-nazzāra-bāz ne maarā
daad bhī shauq-e-dīd kī na milī
jalva-e-be-niyāz ne maarā
maut kī zad se bach gayā jo koī
us ko umr-e-darāz ne maarā
uñgliyāñ har taraf se uThtī haiñ
turra-e-imtiyāz ne maarā
koī dam-sāz koī hai jāñ-bāz
aap ke sāz-bāz ne maarā
jis ke qabze meñ hai masīhā.ī
ham ko is teġh-e-nāz ne maarā
kyā bharosa kisī pe ho ai 'josh'
dil ko ik dil-navāz ne maarā