nāma-bar bhī vahāñ rasā na huā
kisī sūrat mirā bhalā na huā
dard kī daad kaun de mujh ko
tū hī jab dard-āshnā na huā
vahī matlūb ho vahī tālib
ik muammā huā ḳhudā na huā
muḳhtasar bhī hai aur jaame bhī
kyā huā kā javāb kyā na huā
haañ kaho kuchh hameñ bhī ho ma.alūm
vo gila kyā jo barmalā na huā
ishq us dard kā nahīñ qaa.il
jo musībat kī intihā na huā
tum se takmīl-e-jaur ho na sakī
is adā kā bhī haq adā na huā
itnā pās-e-vafā to hai us ko
bevafā.ī se be-vafā na huā
dil-kushā thī nigāh-e-nāz us kī
tiir kyuuñ us kā dil-kushā na huā
dil kabhī ḳhush huā to thā lekin
is kā ab zikr kyā huā na huā
qābil-e-shukr hai vo sabr ai 'josh'
jo kabhī dast-e-iltijā na huā