daaġh dil chamkā to ġham paidā huā
ye añdherā sub.h-dam paidā huā
maiñ huuñ vo gum-gashta-e-rāh-e-talab
merī hastī se adam paidā huā
ho ga.ī har ek beshī meñ kamī
jab ḳhayāl-e-besh-o-kam paidā huā
un ke aane kī ḳhushī kyā chiiz thī
is ḳhushī se aur ġham paidā huā
mai-kade meñ shaiḳh bhī aayā agar
gardan-e-mīnā meñ ḳham paidā huā
husn meñ taḳhlīq kā jauhar bhī hai
us ke ''maiñ'' kahne se ''ham'' paidā huā
yaad un kī yuuñ rafīq-e-rāh thī
har qadam par ham-qadam paidā huā
kyā kaheñ ham is adā-e-ḳhās ko
har karam se ik sitam paidā huā
marg kā kuchh bhī na thā ai 'josh' ġham
un ke va.ade se ye ġham paidā huā