kabhī tum ne kuchh to diyā nahīñ kabhī ham ne kuchh to liyā nahīñ
hameñ zindagī se ho bahs kyā koī vāqi.a to huā nahīñ
magar aisī koī ḳhalish bhī thī jo faqat hamārā nasīb thī
ki jo rog ham ne lagā liyā kisī aur ko to lagā nahīñ
zarā dekhnā ki vo kaun hai pas-e-ramz-e-vahshat-e-āshiqī
bhalā kis ne ham ko shikast dī kabhī pahle aisā huā nahīñ
jise paas aanā thā aa gayā aur nafas ke taar bhī juḌ ga.e
ki talab kī thiiñ yahī manzileñ koī fāsla to rahā nahīñ
baḌī vus.ateñ haiñ zamīn par hameñ aur chāhiye kyā magar
vo jo husn us kī nazar meñ hai koī us se baḌh kar milā nahīñ
vo jo mil chukī haiñ aziyyateñ chalo maan leñ ki bahut huā
magar ab milā hai jo hausla kisī aur ko to milā nahīñ