jahāñ se hotā hai pyāre ḳhudā kā naam shurūa
vahīñ se karte ham zindagī kā kaam shurūa
ye kaisī rāh-e-safar hai ye kaisā aalam hai
ki paañv rakkheñ jahāñ bhī vahīñ maqām shurūa
jahāñ pe hotā hai dil pe nuzūl-e-bār-e-azāb
vahīñ se hotā hai duniyā kā ye nizām shurūa
na socho vaqt bahut kam hai zindagī kam hai
jo ho sake to karo gardish-e-mudām shurūa
sukūt o shor ke mābain koī hai maujūd
jahāñ ho ḳhatm samā.at vahīñ kalām shurūa
baḌī ajiib hai ye dāstān-e-ishq 'hamesh'
saverā hone se pahle ho goyā shaam shurūa