kis tavaqqo.a pe kyā uThā rakhiye
dil salāmat nahīñ to kyā rakhiye
likhiye kuchh aur dāstān-e-dil
aur zamāne ko mubtalā rakhiye
sar meñ saudā rahe mohabbat kā
paañv meñ ḳhaak kī anā rakhiye
buuñd bhar aab kyā muqaddar hai
abr rakhiye to kuchh havā rakhiye
is se pahle koī jalāne aa.e
aap apnā hī ghar jalā rakhiye
qabl-e-insāf chal basā mulzim
ab adālat se kyā ravā rakhiye
jaan jaanī hai jab abas hī 'hamesh'
phir to duniyā se fāsla rakhiye