udhar kī shai idhar kar dī ga.ī hai
zamīñ zer-o-zabar kar dī ga.ī hai
ye kaalī raat hai do-chār pal kī
ye kahne meñ sahar kar dī ga.ī hai
ta.āruf ko zarā phailā diyā hai
kahānī muḳhtasar kar dī ga.ī hai
na pūchho kaise guzrī umr saarī
zarā meñ umr bhar kar dī ga.ī hai
ibādat meñ basar karnī thī lekin
ḳharāboñ meñ basar kar dī ga.ī hai
ka.ī zarrāt bāġhī ho chuke haiñ
sitāroñ ko ḳhabar kar dī ga.ī hai
vo merī ham-qadam hone na paa.ī
jo merī ham-safar kar dī ga.ī hai
hamāre jugnuoñ se dushmanī thī
zarā pahle sahar kar dī ga.ī hai