Ahmad Hamesh

jab se main KHud ko kho raha hun

Ahmad Hamesh

Ballia, Uttar pradesh, India

1940-2013
jab se maiñ ḳhud ko kho rahā huuñ
karvaT badal ke so rahā huuñ
ye jāgnā aur sonā kyā hai
āñkhoñ meñ jahāñ samo rahā huuñ
duniyā se ulajh ke sar par shāyad
apnī hī balā ko Dho rahā huuñ
ye laag aur lagāv kyā hai
apnā vajūd hī Dubo rahā huuñ
ab tak jo zindagī hai guzrī
kāñTe nafas meñ bo rahā huuñ
hai kuchh to apnī parda-dārī
na jāgtā huuñ na so rahā huuñ
itnā hai khoT mere man meñ
paanī meñ duudh bilo rahā huuñ
ai dil-figār be-sabāt hastī
terī hī jaan ko ro rahā huuñ
jitnī hai duur maut mujh se
itnā hī qarīb ho rahā huuñ
shīrāza yuuñ bikhar rahā hai
ḳhud meñ tabāh ho rahā huuñ
kis rāste par jā rahī hai duniyā
ye dekh ke hī to ro rahā huuñ
jaane 'hamesh' ḳhud ko kab se
be-vaj.h lahū meñ Dubo rahā huuñ
Top Urdushayar.com