koī bhī ham-safar nahīñ hotā
dard kyuuñ raat bhar nahīñ hotā
rāh-e-dil ḳhud-ba-ḳhud hai mil jaatī
koī bhī rāhbar nahīñ hotā
aah kā bhī na zikr kar ai dil
aah meñ bhī asar nahīñ hotā
dil ko āsūdgī bhī kyūñkar ho
ġham se shīr-o-shakar nahīñ hotā
aah ai be-ḳhabar ye be-ḳhabarī
dil-e-nādāñ ḳhabar nahīñ hotā
dil kī rāheñ judā haiñ duniyā se
koī bhī rāhbar nahīñ hotā
ab to mahfil se chal diyā 'farhat'
ab kisī kā guzar nahīñ hotā