kuchh to vufūr-e-shauq meñ bā.is-e-imtiyāz ho
merī nazar ke sāmne un kī harīm-e-nāz ho
soz-e-durūn-o-āh-e-dil ishq meñ donoñ ek haiñ
ham ko to ik surūr hai soz ho yā ki saaz ho
vo dil nazāra-kosh terā ye zauq-e-be-ḳhudī
jalve kī taab ho na ho un kī harīm-e-nāz ho
naaz hai shauq-e-āfrīñ shauq hai shorish-e-dimāġh
husn hai ārzū-pasand ishq junūñ-navāz ho
zauq-e-talab ko ishq ne turfa sabaq ye de diyā
nāla-e-dil-ḳharāsh ban āh-e-jigar-gudāz ho
dil kī taḌap meñ ai ḳhudā kuchh to ho zauq-e-āfiyat
dard vo de jo ishq meñ bā.is-e-imtiyāz ho
'farhat'-e-ārzū-pasand dars-e-niyāz-e-ishq ne
kūcha-e-ma.arifat meñ aa shefta majāz ho