Farhat Kanpuri

jo kuchh bhi hai nazar mein so wahm-e-numud hai

Farhat Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1905-1952
jo kuchh bhī hai nazar meñ so vahm-e-numūd hai
aalam tamām ek tilism-e-vajūd hai
ārā.ish-e-numūd se bazm-e-jumūd hai
merī jabīn-e-shauq dalīl-e-sujūd hai
hastī kā raaz kyā hai ġham-e-hast-o-būd hai
aalam tamām dām-e-rusūm-o-quyūd hai
aks-e-jamāl-e-yār se vahm-e-numūd hai
varna vajūd-e-ḳhalq bhī ḳhud be-vajūd hai
ab kushtagān-e-shauq ko kuchh bhī na chāhiye
farsh-e-zamīñ hai sāya-e-charḳh-e-kabūd hai
hañgāma-e-bahār kī allāh re shoḳhiyāñ
zāġh-o-zaġhan kā shor bhī saut-o-surūd hai
Top Urdushayar.com