vo bahkī nigāheñ kyā kahiye vo mahkī javānī kyā kahiye
vo kaif meñ Duube lamhoñ kī ab raat suhānī kyā kahiye
uljhī huī zulfeñ ḳhvāb-asar badmast nigāheñ vaj.h-e-baqā
duniyā se magar imkān-e-shab-e-asrār-o-ma.ānī kyā kahiye
rūdād-e-mohabbat sun sun kar ḳhud husn ko bhī niiñd aane lagī
ab aur kahāñ se laa.eñ dil ab aur kahānī kyā kahiye
jiinā bhī bahut hī mushkil hai marnā bhī koī āsān nahīñ
allāh re kashākash ulfat kī kyā jī meñ hai Thānī kyā kahiye
'farhat' kā patā pūchhe jo koī kaafī hai faqat ye kaafī hai
phūTī huī qismat TuuTā dil ab aur nishānī kyā kahiye