ik ḳhalish sī hai mujhe taqdīr se
al-amāñ us ḳhār-e-dāman-gīr se
hasrat-e-nazzāra kī tāsīr se
parda uTThā yaar kī tasvīr se
shām-e-ġham ke rone vaale sabr kar
sub.h bhī hogī tirī taqdīr se
idda.ā-e-zabt-e-ġham karnā paḌā
tañg aa kar āh-e-be-tāsīr se
mujh ko dīvāna samajh leñ ahl-e-hosh
kyuuñ ulajhte haiñ mirī zanjīr se
dil nahīñ ik aabla siine meñ hai
is nigāh-e-garm kī tāsīr se
hotī hai taskīn 'farhat' kuchh na kuchh
ḳhush huuñ apnī āh-e-be-tāsīr se