vasl ke lamhe kahānī ho ga.e
shab ke motī sub.h paanī ho ga.e
rafta rafta zindagānī ho ga.e
ġham ke lamhe jāvedānī ho ga.e
daulat-e-ahd-e-javānī ho ga.e
chand lamhe jo kahānī ho ga.e
kaisī kuchh rañgīniyāñ thiiñ jin se ham
mahv-e-sair-e-dahr-e-fānī ho ga.e
sukh bhare dukh dukh bhare sukh sab ke sab
vāqiāt-e-zindagānī ho ga.e
muskurā.e aap jaane kis liye
ham rahīñ-e-shādmānī ho ga.e
bātoñ hī bātoñ meñ rāteñ uḌ ga.iiñ
haa.e vo din bhī kahānī ho ga.e
tum ne kuchh dekhā ḳhulūs-e-jazb-e-shauq
sañg-reze gul ke paanī ho ga.e
'farhat' aisī but-parastī ke nisār
but bhī mahv-e-lan-tarānī ho ga.e