Farhat Kanpuri

mera dil-e-nashad jo nashad rahega

Farhat Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1905-1952
merā dil-e-nāshād jo nāshād rahegā
aalam dil-e-barbād kā barbād rahegā
tā-der jo hañgāma-e-fariyād rahegā
shak hai ki kahīñ ālam-e-ījād rahegā
pābandi-e-aqdār meñ āzād rahegā
lekin ye tirā jaur-o-sitam yaad rahegā
dil apne hī hāthoñ se jo barbād rahegā
afsāna-e-nākāmi-e-fariyād rahegā
dil sust to lab tishna-e-fariyād rahegā
ab farhat-e-nāshād to nāshād rahegā
dil mahv-e-chaman hai to nigāhoñ meñ chaman hai
pāband-e-qafas ho ke bhī āzād rahegā
ġhairoñ kā karam raas na aa.egā na aayā
aalam dil-e-barbād kā barbād rahegā
'farhat' tire naġhmoñ kī vo shohrat hai jahāñ meñ
vallāh tirā rañg-e-suḳhan yaad rahegā
Top Urdushayar.com