Farhat Kanpuri

munh-bola bol jagat ka hai jo man mein rahe so apna hai

Farhat Kanpuri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1905-1952
muñh-bolā bol jagat kā hai jo man meñ rahe so apnā hai
ye dil kā mīThā mīThā dard bhī gūñge kā sā sapnā hai
yā ruḳh ko havā ke pher de tū yā ruḳh pe havā ke bahtā chal
sansār khapā le apne meñ sansār meñ varna khapnā hai
marnā hī nahīñ ye jiinā hai ye prem kī jvālā hai jis meñ
chāñdī kī tarah se galnā hai sone kī tarah se tapnā hai
is māyā-jāl se bach kar chal har ek qadam par phandā hai
sansār kī maayā dhokā hai sansār kī maayā sapnā hai
ab dil kī taḌap meñ jīvan hai jīvan meñ taḌap hai bijlī kī
ab dil ko sadā hī dhḌaknā hai 'farhat' ko sadā hī taḌapnā hai
Top Urdushayar.com