hazār phuul liye mausam-e-bahār aa.e
jo dil ho suukh ke kāñTā to kyā qarār aa.e
javāb le ke phirī shukr naza.a kī hichkī
vo ab pukārte haiñ ham jinheñ pukār aa.e
sulajh sakīñ na mirī mushkileñ magar dekhā
ulajh ga.e the jo gesū unheñ sañvār aa.e
falak ko dekh ke hañste ye gul to achchhā thā
jo abr aa.e vo gulshan pe ashk-bār aa.e
bahut se yaad haiñ mahfil meñ baiThne vaale
kabhī to bhuul ke koī sar-e-mazār aa.e
abhī hai ġhuncha-e-dil kī shaguftagī mumkin
hazār baar agar mausam-e-bahār aa.e
ye be-muravvatiyāñ dekhiye ki lab na hile
jo paas the ham unheñ duur tak pukār aa.e
javāb mil to gayā go vo dil-shikan hī sahī
yahī sadā mire mālik phir ek baar aa.e
añdherī raat thī achchhā kiyā jo ai 'sāqib'
charāġh le ke sū-e-zulmat-e-mazār aa.e