dil hai vīrān bayābāñ kī tarah
gosha-e-shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah
haa.e vo jism tah-e-ḳhāk hai aaj
jis ne rakkhā thā hameñ jaañ kī tarah
sāhab-e-ḳhāna samajhte the jise
chal diyā ghar se vo mehmāñ kī tarah
chāñd sūraj kā gumāñ thā jis par
bujh gayā sham-e-shabistāñ kī tarah
sāya-e-atifat ab sar pe nahīñ
sāya-e-abr-e-gurezāñ kī tarah
hai agar apnā muqaddar bhī to hai
tañg bas tañgī-e-dāmāñ kī tarah