'amīq' chheḌ ġhazal ġham kī intihā kab hai
ye mālve kī junūñ-ḳhez chaudhvīñ shab hai
mujhe shikāyat-e-talḳhī-e-zahar-e-ġham kab hai
mire laboñ pe abhī kaif-e-shakkr-e-lab hai
lakīr khiñchtī chalī jā rahī hai ta-ba-jigar
faroġh-e-mai hai ki mashq-e-jarāhat-e-shab hai
ye mahviyat hai ki ro.ab-e-jamāl hai taarī
ḳhilāf-e-rasm-e-junūñ dil bahut muaddab hai
kabhī haram meñ hai kāfir to dair meñ momin
na jaane kyā dil-e-dīvāna terā maz.hab hai
bahut muhāl thā varna ki dil fareb meñ aa.e
kisī ke ġham se ġham-e-kā.enāt kī chhab hai
chaman meñ phuul khilātī phire bahār to kyā
kisī ke band-e-qabā TūTne lageñ tab hai