ham ki jo baiThe hue haiñ apne sar pakḌe hue
aap hī zanjīr haiñ aur aap hī jakḌe hue
shaam piilī raakh meñ ḳhūn-e-shafaq kā injimād
raat jaise ḳhvāb-e-yaḳh-basta hoñ din akḌe hue
rañg ke pahre haiñ ruḳhsāroñ kī āb-o-tāb par
aur rañgoñ ko haiñ zulfoñ kī laTeñ jakḌe hue
dhuup ne nāḳhun Dubo.e haiñ guloñ ke ḳhuun meñ
zaḳhm-ḳhurda ḳhushbueñ phirtī haiñ sar pakḌe hue
raat kaalī raat peḌoñ ko hilātī āñdhiyāñ
aur ham baiThe tanāb-e-ḳhvāb haiñ pakḌe hue