Ameeq Hanafi

ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujhko

Ameeq Hanafi

Mhow Cantt, Madhya Pradesh, India

1928-1985
ġhubār-o-gard ne samjhā hai rahnumā mujh ko
talāsh kartā phirā hai ye qāfila mujh ko
tavīl rāh-e-safar par haiñ phuuT phuuT paḌā
na kyuuñ samajhte mire pair aabla mujh ko
shikast-e-dil kī sadā huuñ bikhar bhī jaane de
ḳhutūt-o-rañg kī zanjīr mat pinhā mujh ko
zamīn par hai samundar falak pe abr-e-ġhubār
utārtī hai kahāñ dekhiye havā mujh ko
sukūt tark-e-ta.alluq kā ik garāñ lamha
banā gayā hai sadāoñ kā silsila mujh ko
vo duur duur se ab kyuuñ mujhe jalātā hai
qarīb aa ke bahut jo bujhā gayā mujh ko
rachā ke ek tilism-e-savābit-o-sayyār
kashish meñ apnī bulāne lagā ḳhalā mujh ko
Top Urdushayar.com