hai nūr-e-ḳhudā bhī yahāñ irfān-e-ḳhudā bhī
ye zaat ki hai vādī-e-sīnā bhī hirā bhī
us ban meñ kiyā kartī hai tap merī anā bhī
is shahar meñ hai kār-gah-e-arz-o-samā bhī
kartā huuñ tavāf apnā to miltī hai na.ī raah
qibla bhī hai ye zaat mirā qibla-numā bhī
ḳhud-āgahī o ḳhud-nigahī kā hai ye in.aam
aur jurm-e-shanāsā.ī-e-ālam kī sazā bhī
hotā hai shab-o-roz tamāshā sar-e-ehsās
jo dekhtī rahtī hai mirī aañkh dikhā bhī
kartī hai kamar-basta safar par bhī yahī zaat
jab duur nikal jaatā huuñ detī hai sadā bhī
zarre meñ hai kaunain to kaunain meñ zarra
kuchh hai tujhe āvāra-e-aflāk patā bhī