arz-e-mudda.ā karte kyuuñ nahīñ kiyā ham ne
ḳhvāhishoñ ko hasrat meñ ḳhud badal diyā ham ne
nit na.ī umīdoñ ke Taañk Taañk kar paivand
zindagī ke dāman ko umr-bhar siyā ham ne
ranj-o-ġham uThā.e haiñ fikr-o-fan bhī paa.e haiñ
zindagī ko jitnā bhī jī sake jiyā ham ne
sub.h kā nayā sūraj kuchh to raushnī legā
shaam se jalāyā hai aas kā diyā ham ne
dāġh-e-dil kī zardārī muft haath kab aa.ī
ḳhaak ho ke paayā hai rāz-e-kīmiyā ham ne