hai aarzū ye jī meñ us kī galī meñ jāveñ
aur ḳhaak apne sar par man māntī uḌāveñ
shor-e-junūñ hai ham ko aur fasl-e-gul bhī aa.ī
ab chaak kar garebāñ kyūñkar na ban meñ jāveñ
be-dard log sab haiñ hamdard ek bhī nahīñ
yaaro ham apne dukh ko jā kis ke ta.iiñ sunāveñ
ye aarzū hamārī muddat se hai ki jā kar
qātil kī teġh ke ta.iiñ apnā lahū chaTāveñ
ḳhajlat se ḳhuuñ meñ Duube yā aag se lage uTh
laala ke ta.iiñ chaman meñ gar dāġh-e-dil dikhāveñ
be-iḳhtiyār sun kar mahfil meñ sham.a ro de
ham baat soz-e-dil kī gar Tuk zabāñ pe lāveñ
yahāñ yaar aur bardār koī nahīñ kisī kā
duniyā ke biich 'tābāñ' ham kis se dil lagāveñ