ho ruuh ke ta.iiñ jism se kis tarah mohabbat
taa.ir ko qafas se bhī kahīñ ho hai mohabbat
go zill-e-humā mat ho rahe sar pe hamāre
tā-hashr terā sāya-e-dīvār salāmat
atvār tire bā.is-e-āfāt-e-jahāñ haiñ
āsār tire haiñge sab āsār-e-qayāmat
sayyād na ab be-par-o-bāloñ ko tū ab chhoḌ
phir hasrat-e-gul degī hameñ saḳht aziyyat
asbāb jahāñ kī to dilā fikr na kar tū
hāsil nahīñ kuchh is meñ ba-juz rañj-o-mashaqqat
chhoḌūñgā na maiñ tujh ko tire ḳhat ke bhī aa.e
tū tab bhī na ho yaar to ye bhī mirī qismat
'tābāñ' tū sadā sair har ik gul kī kiyā kar
is gulshan-e-hastī kā nazārā hai ġhanīmat