sun fasl-e-gul ḳhushī ho gulshan meñ ā.iyāñ haiñ
kyā bulbuloñ ne dekho dhūmeñ machāiyāñ haiñ
bīmār ho zamīñ se uThte nahīñ asā bin
nargis ko tum ne shāyad āñkheñ dikhāiyāñ haiñ
dekh us ko aa.ina bhī hairān ho gayā hai
chehre pe jaan tere aisī safā.iyāñ haiñ
ḳhurshīd us ko kahiye to jaan hai vo piilā
gar mah kahūñ tirā muñh to us pe jhā.iyāñ haiñ
yuuñ garm yaar honā phir baat bhī na kahnā
kyā be-muravvatī hai kyā bevafā.iyāñ haiñ
jhamkī dikhā jhijhak kar dil le ke bhaag jaanā
kyā achpalā.iyāñ haiñ kyā chanchalā.iyāñ haiñ
qismat meñ kyā hai dekheñ jiite bacheñ ki mar jaa.eñ
qātil se ab to ham ne āñkheñ laḌā.iyāñ haiñ
dil āshiqoñ kā le kar phir yaar nahīñ ye dilbar
in be-muravvatoñ kī kyā āshnā.iyāñ haiñ
phir mehrbāñ huā hai 'tābāñ' mirā sitamgar
bāteñ tirī kisī ne shāyad sunā.iyāñ haiñ