laḌkā jo ḳhūb-rū hai so mujh se bachā nahīñ
vo kaun hai ki jis se maiñ yaaro milā nahīñ
ai bulbulo chaman meñ na jaao ga.ī bahār
gulshan meñ ḳhār-o-ḳhas ke sivā kuchh rahā nahīñ
hai kyā sabab ki yaar na aayā ḳhabar ke ta.iiñ
shāyad kisī ne haal hamārā kahā nahīñ
aatā nahīñ vo yār-e-sitamgar to kyā huā
koī ġham to us kā dil se hamāre judā nahīñ
tārīf us ke qad kī kareñ kis tarah se ham
'tābāñ' hamārī fikr to aisī rasā nahīñ