Taban Abdul Hai

dekh usko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
dekh us ko ḳhvāb meñ jab aañkh khul jaatī hai sub.h
kyā kahūñ maiñ kyā qayāmat mujh pe tab laatī hai sub.h
sham.a jab majlis se mah-rūoñ kī letī hai uThā
kyā kahūñ kyā kyā suneñ us vaqt dikhlātī hai sub.h
jis kā gorā rañg ho vo raat ko khiltā hai ḳhuub
raushnā.ī sham.a kī phīkī nazar aatī hai sub.h
paas tū sotā hai chanchal par gale lagtā nahīñ
minnateñ karte hī saarī raat ho jaatī hai sub.h
niiñd se uThtā hai 'tābāñ' jab mirā ḳhurshīd-rū
dekh us ke muñh ke ta.iiñ sharmā ke chhup jaatī hai sub.h
Top Urdushayar.com