aa.ī bahār shorish-e-tiflāñ ko kyā huā
ahl-e-junūñ kidhar ga.e yārāñ ko kyā huā
ġhunche lahū meñ tar nazar aate haiñ tah-ba-tah
is rashk-e-gul ko dekh gulistāñ ko kyā huā
yāqūt-e-lab tirā huā kyuuñ ḳhat se jurm-vār
zālim ye rashk-e-la.al-e-badaḳhshāñ ko kyā huā
us jāma-zeb ġhuncha-dahan ko chaman meñ dekh
hairāñ huuñ maiñ ki gul ke garebāñ ko kyā huā
aane se tere ḳhat ke ye kyuuñ dil-e-girafta hai
batlā ki terī zulf-e-pareshāñ ko kyā huā
kyuuñ gard baad se ye uḌātā hai sar pe ḳhaak
huuñ maiñ to jā-e-qais bayābāñ ko kyā huā
rote hī tere ġham meñ guzartī hai us kī umr
pūchhā kabhī na tū ne ki 'tābāñ' ko kyā huā