yaar se ab ke gar milūñ 'tābāñ'
to phir us se judā na huuñ 'tābāñ'
yā bhare ab ke us se dil merā
ishq kā naam phir na luuñ 'tābāñ'
mujh se bīmār hai mirā zālim
ye sitam kis tarah sahūñ 'tābāñ'
aaj aayā hai yaar ghar mere
ye ḳhushī kis se maiñ kahūñ 'tābāñ'
maiñ to bezār us se huuñ lekin
dil ke hāthoñ se kyā karūñ 'tābāñ'
vo to suntā nahīñ kisī kī baat
us se maiñ haal kyā kahūñ 'tābāñ'
ba.ad muddat ke māh-rū aayā
kyuuñ na us ke gale lagūñ 'tābāñ'