kyā kareñ kyūñ-kar raheñ duniyā meñ yaaro ham ḳhushī
ham ko rahne hī nahīñ detā hai hargiz ġham ḳhushī
ham to apne dard aur ġham meñ nipaT mahzūz haiñ
ham ko kyā is baat se rahtā hai gar aalam ḳhushī
ai azīzo is ḳhushī ko kui ḳhushī nahīñ pahuñchtī
āshiq aur ma.ashūq jab hote haiñ mil bāham ḳhushī
ai falak jis jis tarah kā ġham tū chāhe mujh ko de
maiñ kabhī nālāñ na huuñ hargiz rahūñ har dam ḳhushī
yaar hai mai hai chaman hai kyuuñ na ham ḳhush-vaqt hoñ
is tarah kī hogī ai 'tābāñ' kisī ko kam ḳhushī