Taban Abdul Hai

aisa kahan hubab koi chashm-e-tar ki hum

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
aisā kahāñ hubāb koī chashm-e-tar ki ham
lab ḳhushk ye muhīt hai kab is qadar ki ham
aisā nahīñ ġharīb koī ghar-ba-ghar ki ham
aisā nahīñ ḳharāb koī dar-ba-dar ki ham
mūdām hī mushabbak-e-mizhgān-e-yār hai
lekin na is qadar rahe ḳhasta-jigar ki ham
go aaj ham haiñ be-sar-o-pā dekhiye ki kal
ye rāh-e-pul-sirāt kare shaiḳh sar ki ham
ham bahste haiñ chāk-e-garebāñ pe tere saath
aur dekhiye ki ham se rahe tū sahar ki ham
rote adam se aa.e the rote hī jā.eñge
aisā nahīñ azal se koī nauhagar ki ham
duniyā ki nek o bad se mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
itnā nahīñ jahāñ maiñ koī be-ḳhabar ki ham
pūchhā maiñ us se kaun hai qātil mirā batā
kahne lagā pakaḌ ke vo teġh o sipar ki ham
dīvāñ hamārā ġhaur se 'tābāñ' tū dekh to
rakhtā hai kab muhīt ye ganj-e-guhar ki ham
Top Urdushayar.com