Taban Abdul Hai

dagh-e-dil apna jab dikhata hun

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
dāġh-e-dil apnā jab dikhātā huuñ
rashk se sham.a ko jalātā huuñ
vo mirā shoḳh hai nipaT chanchal
bhaag jaatā hai jab bulātā huuñ
us parī-rū ko dekhtā huuñ jab
ho ke dīvāna sudh bhulātā huuñ
mujh ko detā hai gāliyāñ uTh kar
niind se jab use jagātā huuñ
jab mujhe ghertā hai ġham 'tābāñ'
sāġhar-e-mai ko bhar pilātā huuñ
Top Urdushayar.com