Taban Abdul Hai

kisi ka kaam dil is charKH se hua bhi hai

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
kisī kā kaam dil is charḳh se huā bhī hai
koī zamāne meñ ārām se rahā bhī hai
kisī meñ mehr-o-mohabbat kahīñ vafā bhī hai
koī kisī kā zamāne meñ āshnā bhī hai
koī falak kā sitam mujh se bach rahā bhī hai
janā nasīb koī mujh sā dūsrā bhī hai
burā na māniyo maiñ pūchhtā huuñ ai zālim
ki be-kasoñ ke satā.e se kuchh bhalā bhī hai
jo puḳhta-maġhz haiñ ve soz-e-dil nahīñ kahte
kisī ne sham.a se jalne meñ kuchh sunā bhī hai
tum is qadar jo niDar ho ke zulm karte ho
butāñ hamārā tumhārā koī ḳhudā bhī hai
tū qātiloñ se lagātā hai dil ko kyuuñ 'tābāñ'
ki un ke haath se jiitā koī bachā bhī hai
Top Urdushayar.com