Taban Abdul Hai

marne ki mujhko aap se hain iztirabiyan

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
marne kī mujh ko aap se haiñ iztirābiyāñ
kartā hai mere qatl ko tū kyuuñ shitābiyāñ
merā hī ḳhānumāñ nahīñ vīrāñ huā koī
bahutoñ kī kī haiñ ishq ne ḳhāna ḳharābiyāñ
ḳhvān-e-falak pe ne.amat-e-alvān hai kahāñ
ḳhālī hai mahr-o-māh kī donoñ rikābiyāñ
hargiz ḳhum-e-falak meñ nahīñ hai sharāb-e-ishq
ġhunchoñ kī ḳhūn-e-dil se bharī haiñ gulābiyāñ
halqoñ se us kī zulf ke ruḳhsār hai ayaañ
'tābāñ' jathe meñ dekho haiñ kyā māh-tābiyāñ
Top Urdushayar.com