Taban Abdul Hai

gham mein rota hun tere subh kahin sham kahin

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
ġham meñ rotā huuñ tire sub.h kahīñ shaam kahīñ
chāhne vaale ko hotā bhī hai ārām kahīñ
vasl ho vasl ilāhī ki mujhe taab nahīñ
duur huuñ duur mire hijr ke ayyām kahīñ
lag rahī haiñ tire āshiq kī jo āñkheñ chhat se
tuj ko dekhā thā magar un ne lab-e-bām kahīñ
āshiqoñ ke bhī laḌāne kī tujhe kyā Dhab hai
chashm-bāzī hai kahīñ bosa o paiġhām kahīñ
yamanī kī sī tarah laḳht-e-jigar par khodūñ
muj ko mālūm agar hove tirā naam kahīñ
hijr meñ us but-e-kāfir ke taḌapte haiñ paḌe
ahl-e-zunnār kahīñ sāhib-e-islām kahīñ
aarzū hai mire 'tābāñ' ko bhī ab ai qātil
ki bar aa.e tire hāthoñ se mirā kaam kahīñ
Top Urdushayar.com