ka.aba hai agar shaiḳh kā masjūd-e-ḳhalā.iq
har but hai mire der kā ma.abūd-e-ḳhalā.iq
nuqsān se aur naf.a se kuchh apne nahīñ kaam
har aan hai manzūr mujhe sūd-e-ḳhalā.iq
maiñ dast-e-duā us kī taraf kyūñki uThā.ūñ
hotā hī nahīñ charḳh se maqsūd-e-ḳhalā.iq
phirtā hai falak fikr meñ gardish meñ ye sab kī
hargiz ye nahīñ chāhtā bahbūd-e-ḳhalā.iq
'tābāñ' mire maz.hab ko tū mat pūchh ki kyā hai
maqbūl huuñ ḳhallāq kā mardūd-e-ḳhalā.iq