tire mizhgāñ kī faujeñ bāñdh kar saf jab huiiñ khaḌiyāñ
kiyā aalam ko saare qatl lo thiiñ har taraf paḌiyāñ
dam apne kā shumār is tarah tere ġham meñ kartā huuñ
ki jaise shīsha-e-sā.at meñ gintā hai koī ghaḌiyāñ
hamīñ ko ḳhāna-e-zanjīr se ulfat hai zindāñ meñ
vagarna ek jhaTke meñ judā ho jaa.eñ sab kaḌiyāñ
tujhe dekhā hai jab se bulbul-o-gul ne gulistāñ meñ
paḌī haiñ rishta-e-ulfat meñ un ke tab se gul-chhaḌiyāñ
fuġhāñ aatā nahīñ vo shoḳh mere haath ai 'tābāñ'
lakīreñ uñgliyoñ kī miT ga.iiñ ginte hue ghaḌiyāñ