ai mard-e-ḳhudā ho tū parastār butāñ kā
maz.hab meñ mire kufr hai inkār butāñ kā
lagtī vo tajallī sharar-e-sañg ke mānind
muusī tū agar dekhtā dīdār butāñ kā
gardan meñ mire tauq hai zunnār ke mānind
huuñ ishq meñ az-bas-ki gunahgār butāñ kā
donoñ kī Tuk ik sair kar insāf se ai shaiḳh
ka.abe se tire garm hai bāzār butāñ kā
duuñ saarī ḳhudā.ī ko evaz un ke maiñ 'tābāñ'
koī mujh sā batā de tū ḳharīdār butāñ kā