nahīñ tum mānte merā kahā jī
kabhī to ham bhī samjheñge bhalā jī
achambhā hai mujhe bulbul ki gul bin
qafas meñ kis tarah terā lagā jī
tumhāre ḳhat ke aane kī ḳhabar sun
miyāñ sāhab nipaT merā kuḌhā jī
zakāt-e-husn de maiñ be-navā huuñ
yahī hai tum se ab merī sadā jī
kisī ke jī ke ta.iiñ letā hai dushman
mirā to le gayā hai āshnā jī
thakā maiñ sair kar saare jahāñ kī
mirā ab sab taraf se mar gayā jī
jalāyā aa ke phir 'tābāñ' ko tū ne
hamārī jaan ab tū bhī sadā jī