qafas se chhūTne kī kab havas hai
tasavvur bhī chaman kā ham ko bas hai
bajā.e raḳhna-e-dīvār-e-gulshan
hameñ sayyād ab chāk-e-qafas hai
fuġhāñ kartā hī rahtā hai ye din raat
ilāhī dil hai merā yā jaras hai
kaTeñge umr ke din kab ke be-yār
mujhe ik ik ghaḌī sau sau baras hai
hamārī daad ke ta.iiñ kaun pahuñche
na kui mūnis na kui fariyād-ras hai
galī meñ yaar kī ho jā.iye ḳhaak
mire dil meñ ye muddat se havas hai
safar duniyā se karnā kyā hai 'tābāñ'
adam hastī se rāh-e-yak-nafas hai