Taban Abdul Hai

in zalimon ko jaur siwa kaam hi nahin

Taban Abdul Hai

Delhi, India

1715-1749
in zālimoñ ko jaur sivā kaam hī nahīñ
goyā ki un ke zulm kā anjām hī nahīñ
ġham vasl meñ hai hijr kā hijrāñ meñ vasl kā
hargiz kisī tarah mujhe ārām hī nahīñ
kyā kyā ḳharābiyāñ maiñ tire vāste sahīñ
tis par bhī chāhne kā mire naam hī nahīñ
ab ham dinoñ ko apne na ro.eñ to kyā kareñ
karne the jin meñ aish ve ayyām hī nahīñ
ve shaḳhs jin se faḳhr jahāñ ko thā ab ve haa.e
aise ga.e ki un kā kahīñ naam hī nahīñ
tum jo har ik ke dil ko satāte ho kyā miyāñ
āġhāz kā jafā ke kuchh anjām hī nahīñ
'tābāñ' batā maiñ ijz kahāñ tak kiyā karūñ
juz tark-e-mehr-yār kā paiġhām hī nahīñ
Top Urdushayar.com